Friday, 1 April 2016

ruh ke bhav

Mere subhan  mere mehboob Ruho ke aashik  aur ham ruhe aapki 
Kabhi   kabhi mere preetm apni kisi ruh ko najar me lekar apna laad lutane ka khel karne lagte h aur aaj mai unki najar me h .jese hi teeji bhom ki dehlaan me preetm se najre mili fir ruh hosh me kaha rahi vo ruh to preetm ke Naino me nihare ja rahi h  kya dekhti h 
Ye Nain hai yan pura sagar hi Naino me sama gaya h Naino ki etni gehrai etna ishq etni lajjat etne gun chanchl  chatur pal  pal rang badlte kabhi Nain ki putli gehri kali jese baadl ghanere kale ghir aaye h kabhi matiyale kabhi neele jese sagar hilore le raha h  jab mere nain aur shree Raji ke nain milte h to har taraf Noor hi Noor dikhai deta h
Shree Raji ke Nain rupi baan aashik ruh ke seene me chubh kar kehar dha  gaye us kehar se bhi mehar ho gai
Aur Naino se ishq rupi sharab chalk   chalk kar baahr a rahi h esse pehle ki vo gire meri Ruh ne hatho ke pyale banaye aur pine bheth gayi peeti ja rahi  peeti ja rahi h aur achanak mere mehboob ne Apni palkai band karni shuru kar di  kyo ki mere shbhan jante h Ruh ko kitni peelani h sanjme sanjme dete h aur Ruh khwab se bahar a gai

Pranamji

No comments:

Post a Comment