Friday 8 July 2016

Saatmi bhoom

Saatmi bhoom
🌷6000  6000  mandiro ki do hare🌹
🌷mandiro ke baach me thambo ki do hare🌹
🌷thabo ki mehrabo me 12000  hindole🌹
🌷yaha par do hindole ki tali padti h🌹
🌷Raj shyamaji v sakhiya aamne samne najre mila kar jhula jhulte h🌹

Meri ruh panna ji ke gummat ji me pranam karte hi ishq rupi pankho se udkar apne ko saatmi bhoom me dakhti h
Paramdham ki pratek bhoom ek se badkar ek h
Kintu saatmi bhoom ki sundarta aseem h
Ye bhoom sundar  manohari  chit ko sukh dene vali
Maohol ko rangeen banane vali
Ruho ko madhosh kar dene vali h
Thambo me jo mehrabe aayi h
Chamkate lal rang se sushobhit h

Lal rang ke beech me kuch bade kuch chote  safed heere aaye h
Unki safed kirne jab saamne se hindola aata h us par padi
To aisa lagta h mano hajaro surye nikal aaye ho
Aur us roshani se puri saatmi bhoom roshan ho gayi
Aur jab ye roshani hindolo se takrakar
Mehrabo ke lal rang par padi
Toraj shyamani aur sakhiya sabke mukh mandal heere ki bhanti chamkne lage
Eska varnan akathniye h
Jab samne se hindole aakar milte h to do tali padti h
Aur Raj shyamaji sakhiyo ki hansi ki 
Goong  poore paramdham me gunjayemaan ho jati h
Aur esa prateet hota h mano pashu pankhi vraksh paramdham ki harशै
Raji ki hansi me shamil ho gayi ho
Pranamji

No comments:

Post a Comment